jagte gham bhi nahin jhumte sae bhi nahin
jāgte ġham bhī nahīñ jhūmte saa.e bhī nahīñ
saath apne bhī nahīñ aur parā.e bhī nahīñ
sīna-e-sāz meñ vo giit sulag uTThe haiñ
pyaar ban kar jo lab-e-sāz pe aa.e bhī nahīñ
zindagānī to ḳharīdār-e-sitam hai lekin
tum ne bāzār salīboñ ke sajā.e bhī nahīñ
kuchh irāde mire gītoñ kī thakan haiñ ab bhī
kuchh fasāne tirī āñkhoñ ne sunā.e bhī nahīñ
dhuup sochoñ ke dar-o-bām tak aa pahuñchī hai
aur aise meñ tirī yaad ke saa.e bhī nahīñ
ārzūoñ ke umangoñ ke mazāroñ pe kahīñ
ġham-e-'ayyām ne do phuul chaḌhā.e bhī nahīñ
vaqt kī raah meñ anjān nazar aate haiñ
varna ye log kuchh itne to parā.e bhī nahīñ
duur ke des kī pariyoñ kā bharosa kyā thā
ham ne ḳhvāboñ ke na.e diip jalā.e bhī nahīñ
zindagānī ke hasīñ shahr meñ aa kar 'jāmī'
zindagānī se kahīñ haath milā.e bhī nahīñ
jagte gham bhi nahin jhumte sae bhi nahin
sath apne bhi nahin aur parae bhi nahin
sina-e-saz mein wo git sulag uTThe hain
pyar ban kar jo lab-e-saz pe aae bhi nahin
zindagani to KHaridar-e-sitam hai lekin
tum ne bazar salibon ke sajae bhi nahin
kuchh irade mere giton ki thakan hain ab bhi
kuchh fasane teri aankhon ne sunae bhi nahin
dhup sochon ke dar-o-baam tak aa pahunchi hai
aur aise mein teri yaad ke sae bhi nahin
aarzuon ke umangon ke mazaron pe kahin
gham-e-'ayyam ne do phul chaDhae bhi nahin
waqt ki rah mein anjaan nazar aate hain
warna ye log kuchh itne to parae bhi nahin
dur ke des ki pariyon ka bharosa kya tha
hum ne KHwabon ke nae dip jalae bhi nahin
zindagani ke hasin shahr mein aa kar 'jami'
zindagani se kahin hath milae bhi nahin
- Book : mahvar (Pg. 87)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.