jagte rahte ho raaton ko barabar kis liye
jāgte rahte ho rātoñ ko barābar kis liye
kuchh na kuchh to baat hai sote ho din-bhar kis liye
tum se kyā dekhā nahīñ jaatā mirā dam toḌnā
jā rahe ho varna mere paas aa kar kis liye
kuchh na kuchh to ġhair se rishta tumhārā hai zarūr
roz aate jaate ho us ke makāñ par kis liye
ye sharārat hai ḳhudā mā'lūm yā iz.hār-e-‘ishq
dekhte ho merī jānib muskurā kar kis liye
aur kyā taqsīr hai merī mohabbat ke sivā
hai ḳhafā mujh se tū ai shoḳh-e-sitamgar kis liye
phir kisī ko daam meñ laane kī tayyārī hai kyā
kāTtā hai baaġh meñ sayyād chakkar kis liye
hazrat-e-'hājir' kisī kī justujū hai aap ko
māre-māre phir rahe haiñ aap dar-dar kis liye
jagte rahte ho raaton ko barabar kis liye
kuchh na kuchh to baat hai sote ho din-bhar kis liye
tum se kya dekha nahin jata mera dam toDna
ja rahe ho warna mere pas aa kar kis liye
kuchh na kuchh to ghair se rishta tumhaara hai zarur
roz aate jate ho us ke makan par kis liye
ye shararat hai KHuda ma'lum ya izhaar-e-‘ishq
dekhte ho meri jaanib muskura kar kis liye
aur kya taqsir hai meri mohabbat ke siwa
hai KHafa mujh se tu ai shoKH-e-sitamgar kis liye
phir kisi ko dam mein lane ki tayyari hai kya
kaTta hai bagh mein sayyaad chakkar kis liye
hazrat-e-'hajir' kisi ki justuju hai aap ko
mare-mare phir rahe hain aap dar-dar kis liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.