jagti aankhon mein aana chhoD do
jāgtī āñkhoñ meñ aanā chhoḌ do
jāgnā ḳhud aur jagānā chhoḌ do
us kī yādeñ us kī bāteñ us kā pyaar
aap ye qissa purānā chhoḌ do
puure man se maiñ samarpit huuñ tumheñ
tum mirī qīmat lagānā chhoḌ do
jab tumhāre dil meñ nafrat hai to phir
is tarah milnā milānā chhoḌ do
log kamzorī banā leñge ise
is tarah aañsū bahānā chhoḌ do
khul ke gaao dard ke naġhmāt ko
dhīre dhīre gungunānā chhoḌ do
us galī meñ Dheroñ haiñ bad-nāmiyāñ
us galī meñ ānā-jānā chhoḌ do
maiñ ye duniyā chhoḌ duuñ kyā 'anjanā'
bol uTThā dil dīvāna chhoḌ do
jagti aankhon mein aana chhoD do
jagna KHud aur jagana chhoD do
us ki yaaden us ki baaten us ka pyar
aap ye qissa purana chhoD do
pure man se main samarpit hun tumhein
tum meri qimat lagana chhoD do
jab tumhaare dil mein nafrat hai to phir
is tarah milna milana chhoD do
log kamzori bana lenge ise
is tarah aansu bahana chhoD do
khul ke gao dard ke naghmat ko
dhire dhire gungunana chhoD do
us gali mein Dheron hain bad-namiyan
us gali mein aana-jaana chhoD do
main ye duniya chhoD dun kya 'anjana'
bol uTTha dil diwana chhoD do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.