jagti aankhon mein tha ambar khula
jāgtī āñkhoñ meñ thā ambar khulā
so ga.e to ḳhvāb meñ ik dar khulā
naam jab dil ne pukārā yā-alī
to sabhī par ma.anī-e-lashkar khulā
be-ḳhayālī meñ chhuā us ne mujhe
husn kā ik dar mire andar khulā
khīñch lūñgā dhuup kī tasvīr maiñ
rah gayā ghar meñ añdherā gar khulā
zindagī meñ rang bharne hoñ agar
rakkho apne sāmne manzar khulā
ḳhvāhisheñ lene lagīñ añgḌā.iyāñ
jab tirā saaya darīche par khulā
saath rah kar bhī rahe ham ajnabī
ek muddat baad ye ham par khulā
ḳhūbsūrat phuul haiñ is peḌ ke
yā koī baiThā hai bāl-o-par khulā
jagti aankhon mein tha ambar khula
so gae to KHwab mein ek dar khula
nam jab dil ne pukara ya-ali
to sabhi par mani-e-lashkar khula
be-KHayali mein chhua us ne mujhe
husn ka ek dar mere andar khula
khinch lunga dhup ki taswir main
rah gaya ghar mein andhera gar khula
zindagi mein rang bharne hon agar
rakkho apne samne manzar khula
KHwahishen lene lagin angDaiyan
jab tera saya dariche par khula
sath rah kar bhi rahe hum ajnabi
ek muddat baad ye hum par khula
KHubsurat phul hain is peD ke
ya koi baiTha hai baal-o-par khula
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.