jagti aankhon se wabasta diya mange hai
jāgtī āñkhoñ se vābasta diyā māñge hai
vaqt-e-ummīd basārat kī duā māñge hai
gard-ālūd fazāoñ meñ bhaTaktā mausam
gum-shuda lamha se ḳhud apnā patā māñge hai
aks-dar-aks haqīqat kī lakīreñ raushan
ḳhvāb-dar-ḳhvāb koī husn-e-adā māñge hai
apnī majrūh nigāhoñ kā safar hai jaarī
justujū karb-e-masāfat kī davā māñge hai
munsif-e-vaqt kī maġhrūr samā.at 'ḳhāvar'
gūñge mujrim se sadāqat kī navā māñge hai
jagti aankhon se wabasta diya mange hai
waqt-e-ummid basarat ki dua mange hai
gard-alud fazaon mein bhaTakta mausam
gum-shuda lamha se KHud apna pata mange hai
aks-dar-aks haqiqat ki lakiren raushan
KHwab-dar-KHwab koi husn-e-ada mange hai
apni majruh nigahon ka safar hai jari
justuju karb-e-masafat ki dawa mange hai
munsif-e-waqt ki maghrur samaat 'KHawar'
gunge mujrim se sadaqat ki nawa mange hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.