jagti hun main raat-bhar tanha
jāgtī huuñ maiñ rāt-bhar tanhā
zindagī ho rahī basar tanhā
zindagī ke ajab do-rāhe par
kar gayā mujh ko rāhbar tanhā
saarī ḳhushiyāñ to aarzī haiñ magar
hai faqat dard-e-mo'atabar tanhā
kitne taare falak pe haiñ lekin
chāñd kartā hai kyoñ safar tanhā
qāfile manziloñ pe jā pahuñche
rah ga.ī dil kī rahguzar tanhā
ḳhvāb palkoñ pe so ga.e saare
jāgtī rah ga.ī nazar tanhā
shāmā ḳhushiyāñ to baañT detī huuñ
ashk piitī huuñ maiñ magar tanhā
jagti hun main raat-bhar tanha
zindagi ho rahi basar tanha
zindagi ke ajab do-rahe par
kar gaya mujh ko rahbar tanha
sari KHushiyan to aarzi hain magar
hai faqat dard-e-mo'atabar tanha
kitne tare falak pe hain lekin
chand karta hai kyon safar tanha
qafile manzilon pe ja pahunche
rah gai dil ki rahguzar tanha
KHwab palkon pe so gae sare
jagti rah gai nazar tanha
shama KHushiyan to banT deti hun
ashk piti hun main magar tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.