jagti shab KHuda-hafiz
jāgtī shab ḳhudā-hāfiz
jā chuke sab ḳhudā-hāfiz
dasht mujh ko bulātā hai
zindagī ab ḳhudā-hāfiz
rāsta rokte kyuuñ ho
kah diyā jab ḳhudā-hāfiz
khā chukā dāna-e-gandum
mehrbāñ rab ḳhudā-hāfiz
āḳhirī saañs jab niklī
likh diyā tab ḳhudā-hāfiz
ab chalo raat hai 'bābar'
shaam kī chhab ḳhudā-hāfiz
jagti shab KHuda-hafiz
ja chuke sab KHuda-hafiz
dasht mujh ko bulata hai
zindagi ab KHuda-hafiz
rasta rokte kyun ho
kah diya jab KHuda-hafiz
kha chuka dana-e-gandum
mehrban rab KHuda-hafiz
aaKHiri sans jab nikli
likh diya tab KHuda-hafiz
ab chalo raat hai 'babar'
sham ki chhab KHuda-hafiz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.