jah-o-hashmat nahin jalal nahin
jāh-o-hashmat nahīñ jalāl nahīñ
phir bhī chheḌe koī majāl nahīñ
izzat-e-nafs sab ko pyārī hai
fard yā qaum kā savāl nahīñ
haañ vo behad hasīñ sahī lekin
bazm-e-ālam meñ be-misāl nahīñ
kaise shikve gile ki muddat se
hijr hī hijr hai visāl nahīñ
merī hastī vajūd rakhtī hai
maiñ kisī zehn kā ḳhayāl nahīñ
apne maazī pe sirf naaz kare
itnā guzrā huā bhī haal nahīñ
apne fan ke dikhā.iye 'jauhar'
sher kahnā koī kamāl nahīñ
jah-o-hashmat nahin jalal nahin
phir bhi chheDe koi majal nahin
izzat-e-nafs sab ko pyari hai
fard ya qaum ka sawal nahin
han wo behad hasin sahi lekin
bazm-e-alam mein be-misal nahin
kaise shikwe gile ki muddat se
hijr hi hijr hai visal nahin
meri hasti wajud rakhti hai
main kisi zehn ka KHayal nahin
apne mazi pe sirf naz kare
itna guzra hua bhi haal nahin
apne fan ke dikhaiye 'jauhar'
sher kahna koi kamal nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.