jahilon ke des mein dana bacha koi nahin
jāhiloñ ke des meñ daanā bachā koī nahīñ
rog aisā lag gayā jis kī davā koī nahīñ
in diyoñ kī raushnī koī churā kar le gayā
har taraf tārīkiyāñ haiñ par bujhā koī nahīñ
apnī miTTī kī numū nīlām jab se kī ga.ī
peḌ to kaafī khaḌe haiñ par harā koī nahīñ
ab chalo 'shāhid' yahāñ se vaqt-e-hijrat aa gayā
ik hujūm-e-dostāñ hai par vafā koī nahīñ
jahilon ke des mein dana bacha koi nahin
rog aisa lag gaya jis ki dawa koi nahin
in diyon ki raushni koi chura kar le gaya
har taraf tarikiyan hain par bujha koi nahin
apni miTTi ki numu nilam jab se ki gai
peD to kafi khaDe hain par hara koi nahin
ab chalo 'shahid' yahan se waqt-e-hijrat aa gaya
ek hujum-e-dostan hai par wafa koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.