jal mein jis ke shauq aai hai
jaal meñ jis ke shauq aa.ī hai
us ke dil kuuñ taḌaph kamāhī hai
jag ke ḳhūbāñ haiñ tujh pe sab maftūñ
tan meñ yūsuf bhī ek chāhī hai
daaġh siiñ kyuuñ na dil ujālā ho
chashm kī raushnī siyāhī hai
ab talak khīñch khīñch jaur-o-jafā
har tarah dostī nibāhī hai
taur kyā pūchhte ho kāfir kā
shoḳh hai bāñkha hai sipāhī hai
haath meñ kahrubā kī simran dekh
rañg āshiq kā aaj kaahī hai
haal āshiq kā kyā bayāñ kiije
ḳhvār hai ḳhasta hai tabāhī hai
'ābrū' kyuuñ na ho rahe ḳhāmosh
dard kahne kī yaañ manāhī hai
jal mein jis ke shauq aai hai
us ke dil kun taDaph kamahi hai
jag ke KHuban hain tujh pe sab maftun
tan mein yusuf bhi ek chahi hai
dagh sin kyun na dil ujala ho
chashm ki raushni siyahi hai
ab talak khinch khinch jaur-o-jafa
har tarah dosti nibahi hai
taur kya puchhte ho kafir ka
shoKH hai bankha hai sipahi hai
hath mein kahruba ki simran dekh
rang aashiq ka aaj kahi hai
haal aashiq ka kya bayan kije
KHwar hai KHasta hai tabahi hai
'abru' kyun na ho rahe KHamosh
dard kahne ki yan manahi hai
- Book : Deewan-e-Aabro (Pg. 248)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.