jam chalkaen surahi se nazar chaar karen
jaam chalkā.eñ surāhī se nazar chaar kareñ
mai-kada niiñd meñ hai ham use bedār kareñ
koī āye.gā shab-e-ġham mirī pursish ke liye
aap ā.eñge zarā soch ke iqrār kareñ
ek qātil bhī hai is shahr meñ munsif kī tarah
jaan kī ham jo amaañ paa.eñ to iz.hār kareñ
ġhuncha-o-gul pe koī taaza qayāmat TuuTe
log itnā bhī na fikr-e-lab-o-ruḳhsār kareñ
jam chalkaen surahi se nazar chaar karen
mai-kada nind mein hai hum use bedar karen
koi aayega shab-e-gham meri pursish ke liye
aap aaenge zara soch ke iqrar karen
ek qatil bhi hai is shahr mein munsif ki tarah
jaan ki hum jo aman paen to izhaar karen
ghuncha-o-gul pe koi taza qayamat TuTe
log itna bhi na fikr-e-lab-o-ruKHsar karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.