jam-e-lab pine ki hasrat ab to mere dil mein hai
jam-e-lab pine ki hasrat ab to mere dil mein hai
Anmol Savaran Katib
MORE BYAnmol Savaran Katib
jām-e-lab piine kī hasrat ab to mere dil meñ hai
par mirā saaqī to yāroñ ġhair kī mahfil meñ hai
qatl kar de jo nazar se vo hunar sab meñ kahāñ
ye hunar to bas parī-vash dil-nashīñ qātil meñ hai
hai nazākat hai nazāfat har adā meñ us ke to
is liye hī ab talak zinda vo mere dil meñ hai
ishq kī dariyā meñ ġhote khā rahā huuñ maiñ to ab
vo lahar hai ab to manzil merī yaañ sāhil meñ hai
ho gayā huuñ maiñ pareshāñ dil kahīñ lagtā nahīñ
ishq karne kī ḳhatā se dil merā mushkil meñ hai
jo ḳhushī apnī luTā de ġhair ke hī vāste
is jahāñ meñ is tarah kī aarzū aadil meñ hai
kaun terā hai yahāñ pe ye zarā mālūm kar
rañg meñ chehre sane haiñ raaz mustaqbil meñ hai
thak gayā huuñ zindagī ke is safar meñ maiñ to ab
maut mil jaa.e safar meñ bas yahī manzil meñ hai
sun liye jo sher 'kātib' ke binā ik daad ke
ye gavāhī de rahā tū mahfil-e-jāhil meñ hai
jam-e-lab pine ki hasrat ab to mere dil mein hai
par mera saqi to yaron ghair ki mahfil mein hai
qatl kar de jo nazar se wo hunar sab mein kahan
ye hunar to bas pari-wash dil-nashin qatil mein hai
hai nazakat hai nazafat har ada mein us ke to
is liye hi ab talak zinda wo mere dil mein hai
ishq ki dariya mein ghote kha raha hun main to ab
wo lahar hai ab to manzil meri yan sahil mein hai
ho gaya hun main pareshan dil kahin lagta nahin
ishq karne ki KHata se dil mera mushkil mein hai
jo KHushi apni luTa de ghair ke hi waste
is jahan mein is tarah ki aarzu aadil mein hai
kaun tera hai yahan pe ye zara malum kar
rang mein chehre sane hain raaz mustaqbil mein hai
thak gaya hun zindagi ke is safar mein main to ab
maut mil jae safar mein bas yahi manzil mein hai
sun liye jo sher 'katib' ke bina ek dad ke
ye gawahi de raha tu mahfil-e-jahil mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.