jam-e-mai-e-alast se sarshaar ho gae
jam-e-mai-e-alast se sarshaar ho gae
Maharaja Sir Kishan Parashad Shad
MORE BYMaharaja Sir Kishan Parashad Shad
jām-e-mai-e-alast se sarshār ho ga.e
ya.anī rahīn-e-ḳhāna-e-ḳhammār ho ga.e
mad.hosh ho ke hosh meñ aanā ġhazab huā
duniyā ke kārobār se bekār ho ga.e
yā-rab hamārī daad kī achchhī davā milī
ham ḳhvāhish-e-tabīb meñ bīmār ho ga.e
dil meñ havā-e-gesū-e-dildār kyā basī
baiThe-biThā.e muft giraftār ho ga.e
in lan-tarāniyoñ se tirī aaj saikḌoñ
muusā kī tarah tālib-e-dīdār ho ga.e
le kar azīz-e-misr vo bāzār-e-ishq meñ
kyā ḳhuub apne aap ḳharīdār ho ga.e
kāfir hue haiñ 'shād' ham us but ke vāste
shukr-e-ḳhudā ki sāhib-e-zunnār ho ga.e
jam-e-mai-e-alast se sarshaar ho gae
yani rahin-e-KHana-e-KHammar ho gae
madhosh ho ke hosh mein aana ghazab hua
duniya ke karobar se bekar ho gae
ya-rab hamari dad ki achchhi dawa mili
hum KHwahish-e-tabib mein bimar ho gae
dil mein hawa-e-gesu-e-dildar kya basi
baiThe-biThae muft giraftar ho gae
in lan-taraniyon se teri aaj saikDon
musa ki tarah talib-e-didar ho gae
le kar aziz-e-misr wo bazar-e-ishq mein
kya KHub apne aap KHaridar ho gae
kafir hue hain 'shad' hum us but ke waste
shukr-e-KHuda ki sahib-e-zunnar ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.