jam gardish mein hai dar-band hain mai-KHanon ke
jaam gardish meñ hai dar-band haiñ mai-ḳhānoñ ke
kuchh farishte haiñ yahāñ ruup meñ insānoñ ke
sham.a kī aag meñ dil jalte haiñ parvānoñ ke
hausle dekhiye in soḳhta-sāmānoñ ke
sirf tash.hīr hai shāyad mirā afsāna-e-ġham
aaj ahbāb meñ andāz haiñ begānoñ ke
lazzat-e-ḳhvāb se begāna haiñ māh-o-anjum
sunñe vaale haiñ ye shāyad mire afsānoñ ke
fasl-e-gul rañg-e-chaman daur-e-ḳhizāñ husn-e-bahār
muḳhtalif naam haiñ saaqī tire paimānoñ ke
ai mire nāseh-e-ḳhush-fahm zarā ġhaur se sun
dost nādān huā karte haiñ nā-dānoñ ke
chun liyā hai jinheñ gardūñ ne samajh kar taare
haiñ 'shakīl' aah ye TukḌe mire armānoñ ke
jam gardish mein hai dar-band hain mai-KHanon ke
kuchh farishte hain yahan rup mein insanon ke
shama ki aag mein dil jalte hain parwanon ke
hausle dekhiye in soKHta-samanon ke
sirf tashhir hai shayad mera afsana-e-gham
aaj ahbab mein andaz hain beganon ke
lazzat-e-KHwab se begana hain mah-o-anjum
sunne wale hain ye shayad mere afsanon ke
fasl-e-gul rang-e-chaman daur-e-KHizan husn-e-bahaar
muKHtalif nam hain saqi tere paimanon ke
ai mere naseh-e-KHush-fahm zara ghaur se sun
dost nadan hua karte hain na-danon ke
chun liya hai jinhen gardun ne samajh kar tare
hain 'shakil' aah ye TukDe mere armanon ke
- Book : Kulliyat-e-Shakiil Badaayuuni (Pg. 274)
- Author : Shakiil Badaayuuni
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.