jam jab tak na chale hum nahin Talne wale
jaam jab tak na chale ham nahīñ Talne vaale
aaj saaqī tire fiqre nahīñ chalne vaale
naam raushan jo huā husn meñ parvānoñ se
sham.a kahtī hai ki ThanDe raheñ jalne vaale
kyā hukūmat mire saaqī kī hai mai-ḳhāne meñ
jitne sāġhar haiñ ishāre pe haiñ chalne vaale
fitne uTh uTh ke ye kahte haiñ ki o mast-ḳhirām
ham bhī saa.e kī tarah saath haiñ chalne vaale
fā.eda kyā havas-e-dil ke baḌhāne se 'jalīl'
vahī nikleñge jo armāñ haiñ nikalne vaale
jam jab tak na chale hum nahin Talne wale
aaj saqi tere fiqre nahin chalne wale
nam raushan jo hua husn mein parwanon se
shama kahti hai ki ThanDe rahen jalne wale
kya hukumat mere saqi ki hai mai-KHane mein
jitne saghar hain ishaare pe hain chalne wale
fitne uTh uTh ke ye kahte hain ki o mast-KHiram
hum bhi sae ki tarah sath hain chalne wale
faeda kya hawas-e-dil ke baDhane se 'jalil'
wahi niklenge jo arman hain nikalne wale
- Book : Kainat-e-Jalil Manakpuri (Pg. 270)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.