jaam lete haiñ na piine ko subū lete haiñ
ham magar sarhad-e-idrāk ko chhū lete haiñ
mai mayassar jo nahīñ pyaas bujhāne ke liye
ham to chalo maiñ ab apnā hī lahū lete haiñ
merī begāna-ravī mujh ko bachā letī hai
intiqām apnī taraf se to 'adū lete haiñ
toḌ dete haiñ use kis liye phir ahl-e-junūñ
maañg kar ḳhud hī to zanjīr-e-gulū lete haiñ
sirf āñkhoñ kī tasallī ke liye hai ye sair
rang lete haiñ na ham phuul se bū lete haiñ
TuuT jaa.e na kisī zaḳhm kā Tāñkā ai dost
kaam ham zabt se hañgām-e-rafū lete haiñ
kyā 'munavvar' abhī bālīdgī-e-shauq kā zikr
kis qadar vaqt shajar bahr-e-numū lete haiñ
jam lete hain na pine ko subu lete hain
hum magar sarhad-e-idrak ko chhu lete hain
mai mayassar jo nahin pyas bujhane ke liye
hum to chalo main ab apna hi lahu lete hain
meri begana-rawi mujh ko bacha leti hai
intiqam apni taraf se to 'adu lete hain
toD dete hain use kis liye phir ahl-e-junun
mang kar KHud hi to zanjir-e-gulu lete hain
sirf aankhon ki tasalli ke liye hai ye sair
rang lete hain na hum phul se bu lete hain
TuT jae na kisi zaKHm ka Tanka ai dost
kaam hum zabt se hangam-e-rafu lete hain
kya 'munawwar' abhi baalidgi-e-shauq ka zikr
kis qadar waqt shajar bahr-e-numu lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.