jam-o-mina hai giran baada-e-barsat giran
jam-o-mina hai giran baada-e-barsat giran
Maqbool Ahmad Maqbool
MORE BYMaqbool Ahmad Maqbool
jām-o-mīnā hai girāñ bāda-e-barsāt girāñ
sāqiyā tere binā hai yahāñ har baat garāñ
aarzū apnī bayāñ un se kareñ to kaise
un pe har baat garāñ dīd-o-mulāqāt garāñ
bas yahī soch ke karte nahīñ iz.hār-e-ḳhayāl
un pe guzreñ na kahīñ apne ḳhayālāt-e-garāñ
aisā lagtā hai ki har sū hai jahannum barpā
is qadar ho ga.e haiñ aaj ke hālāt garāñ
zindagī kaise guzāreñge bhalā ham 'maqbūl'
din girāñ sub.h garāñ shaam garāñ raat garāñ
jam-o-mina hai giran baada-e-barsat giran
saqiya tere bina hai yahan har baat garan
aarzu apni bayan un se karen to kaise
un pe har baat garan did-o-mulaqat garan
bas yahi soch ke karte nahin izhaar-e-KHayal
un pe guzren na kahin apne KHayalat-e-garan
aisa lagta hai ki har su hai jahannum barpa
is qadar ho gae hain aaj ke haalat garan
zindagi kaise guzarenge bhala hum 'maqbul'
din giran subh garan sham garan raat garan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.