jam-o-mina se mulaqat rakhi hi kab thi
jām-o-mīnā se mulāqāt rakhī hī kab thī
sāqiyā tū ne mirī baat rakhī hī kab thī
jām-e-jam ho ki ho miTTī kā piyāla koī
terī āñkhoñ sī karāmāt rakhī hī kab thī
chāñd bhī mahv-e-tamāshā thā sitāre bhī gavāh
ham ne poshīda mulāqāt rakhī hī kab thī
ham hī jalte rahe is sozish-e-ġham meñ tanhā
sāmne tere ye sauġhāt rakhī hī kab thī
jītne kī hī tamanna thī to lashkar laate
ik payāde meñ mirī maat rakhī hī kab thī
jam-o-mina se mulaqat rakhi hi kab thi
saqiya tu ne meri baat rakhi hi kab thi
jam-e-jam ho ki ho miTTi ka piyala koi
teri aankhon si karamat rakhi hi kab thi
chand bhi mahw-e-tamasha tha sitare bhi gawah
hum ne poshida mulaqat rakhi hi kab thi
hum hi jalte rahe is sozish-e-gham mein tanha
samne tere ye saughat rakhi hi kab thi
jitne ki hi tamanna thi to lashkar late
ek payaade mein meri mat rakhi hi kab thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.