jam tha KHum tha subu tha majma-e-ahbab tha
jaam thā ḳhum thā subū thā majma-e-ahbāb thā
shaiḳh kā in sab meñ chehra kis qadar shādāb thā
maiñ ne dekhā raat merī god meñ mahtāb thā
aap hī ta.abīr us kī deñ ye kaisā ḳhvāb thā
qais dīvāna tirā ai lailī-e-mahmil-nashīñ
terī sūrat dekhne ko kis qadar betāb thā
vo qulī thā yā thā koī kaaTh kā ullū murīd
piiTh par laade hue jo shaiḳh kā asbāb thā
us ne ye achchhā kiyā jo aqd hī paḌhvā liyā
dil murīdan ke liye jab sūrat-e-sīmāb thā
kyuuñ na dāḌhī apnī kartā jumbish-e-razor kī bheñT
ḳhanda-zan is shakl par jab halqa-e-ahbāb thā
raat bhar maiñ ne sañvārī zulf-e-lailā-e-ġhazal
sher kī aamad thī 'hāshim' yā koī sailāb thā
jam tha KHum tha subu tha majma-e-ahbab tha
shaiKH ka in sab mein chehra kis qadar shadab tha
main ne dekha raat meri god mein mahtab tha
aap hi tabir us ki den ye kaisa KHwab tha
qais diwana tera ai laili-e-mahmil-nashin
teri surat dekhne ko kis qadar betab tha
wo quli tha ya tha koi kaTh ka ullu murid
piTh par lade hue jo shaiKH ka asbab tha
us ne ye achchha kiya jo aqd hi paDhwa liya
dil muridan ke liye jab surat-e-simab tha
kyun na daDhi apni karta jumbish-e-razor ki bhenT
KHanda-zan is shakl par jab halqa-e-ahbab tha
raat bhar main ne sanwari zulf-e-laila-e-ghazal
sher ki aamad thi 'hashim' ya koi sailab tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.