jaan aa bar mein ki phir kuchh gham-o-waswas nahin
jaan aa bar meñ ki phir kuchh ġham-o-vasvās nahīñ
tū nahīñ paas to phir kuchh bhī mire paas nahīñ
tū jilāve to jiyūñ tū hī jo maare to marūñ
tujh sivā mujh ko to dārain meñ kuchh aas nahīñ
naam lene se tirā maiñ huuñ mo.attar hotā
gul-e-jannat meñ bhī sunte haiñ ki ye baas nahīñ
yaaro hai 'azfarī' urdu kī zabāñ kā vāris
ahl-e-dehlī hai vo bāshinda-e-madrās nahīñ
jaan aa bar mein ki phir kuchh gham-o-waswas nahin
tu nahin pas to phir kuchh bhi mere pas nahin
tu jilawe to jiyun tu hi jo mare to marun
tujh siwa mujh ko to darain mein kuchh aas nahin
nam lene se tera main hun moattar hota
gul-e-jannat mein bhi sunte hain ki ye bas nahin
yaro hai 'azfari' urdu ki zaban ka waris
ahl-e-dehli hai wo bashinda-e-madras nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.