jaañ apnī vaqf-e-zahmat-e-hijrāñ kiye hue
āshiq har ik balā ko haiñ mehmāñ kiye hue
sab muntashir haiñ mere janāze ko dekh kar
tum saath ho jo hāl-e-pareshāñ kiye hue
ab to nafas kī āmad-o-shud bhī huī hai band
aisī jagah hai siine meñ paikāñ kiye hue
kis vāste ye mahviyat ā.īna dekh kar
kyoñ aap ik jahāñ ko haiñ hairāñ kiye hue
hañgām-e-ehtizār hai ai dam zarā Thahar
is vaqt huuñ tasavvur-e-jānāñ kiye hue
in mushkiloñ pe sab kī tan-āsāniyāñ fidā
jin ko tirī nigāh ho āsāñ kiye hue
majme.a kā ḳhauf roz-e-qayāmat hai 'nāsirī'
be-kār ho visāl kā armāñ kiye hue
jaan apni waqf-e-zahmat-e-hijran kiye hue
aashiq har ek bala ko hain mehman kiye hue
sab muntashir hain mere janaze ko dekh kar
tum sath ho jo haal-e-pareshan kiye hue
ab to nafas ki aamad-o-shud bhi hui hai band
aisi jagah hai sine mein paikan kiye hue
kis waste ye mahwiyat aaina dekh kar
kyon aap ek jahan ko hain hairan kiye hue
hangam-e-ehtizar hai ai dam zara Thahar
is waqt hun tasawwur-e-jaanan kiye hue
in mushkilon pe sab ki tan-asaniyan fida
jin ko teri nigah ho aasan kiye hue
majmea ka KHauf roz-e-qayamat hai 'nasiri'
be-kar ho visal ka arman kiye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.