Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaan-ba-lab hasrat-o-arman pe rona aaya

Shameem Farooq Banspari

jaan-ba-lab hasrat-o-arman pe rona aaya

Shameem Farooq Banspari

MORE BYShameem Farooq Banspari

    jāñ-ba-lab hasrat-o-armān pe ronā aayā

    mehrbāñ aap ke ehsān pe ronā aayā

    ḳhāna-e-be-sar-o-sāmān pe ronā aayā

    ghar meñ aa.e hue mehmān pe ronā aayā

    phuul bhī dāman-e-fitrat meñ the angāre bhī

    aañkh vaale tirī pahchān pe ronā aayā

    ghar ke luTne mujhe ġham nahīñ lekin ai dost

    kotah-andesh nigahbān pe ronā aayā

    bāda-e-nāb aur apne ḳhumistāñ meñ kamī

    pīr-e-mai-ḳhāna ke elaan pe ronā aayā

    kis ke ghar jā.egā sailāb-e-balā mere ba.ad

    duur tak soch ke tūfān pe ronā aayā

    sust-raftāri-e-ushtur to koī baat nahīñ

    past-āhañg-e-hudī-ḳhvān pe ronā aayā

    dair se rabt haram se bhī ta.alluq kyā ḳhuub

    is lachakte hue īmān pe ronā aayā

    iltifāt-e-nigah-e-nāz mire dost bajā

    apnī barbādī ke imkān pe ronā aayā

    dushman-e-tauba ghaTāoñ gila kyā 'fārūq'

    Dagmagāte hue īmān pe ronā aayā

    jaan-ba-lab hasrat-o-arman pe rona aaya

    mehrban aap ke ehsan pe rona aaya

    KHana-e-be-sar-o-saman pe rona aaya

    ghar mein aae hue mehman pe rona aaya

    phul bhi daman-e-fitrat mein the angare bhi

    aankh wale teri pahchan pe rona aaya

    ghar ke luTne ka mujhe gham nahin lekin ai dost

    kotah-andesh nigahban pe rona aaya

    baada-e-nab ki aur apne KHumistan mein kami

    pir-e-mai-KHana ke elan pe rona aaya

    kis ke ghar jaega sailab-e-bala mere baad

    dur tak soch ke tufan pe rona aaya

    sust-raftari-e-ushtur to koi baat nahin

    past-ahang-e-hudi-KHwan pe rona aaya

    dair se rabt haram se bhi talluq kya KHub

    is lachakte hue iman pe rona aaya

    iltifat-e-nigah-e-naz mere dost baja

    apni barbaadi ke imkan pe rona aaya

    dushman-e-tauba ghaTaon ka gila kya 'faruq'

    Dagmagate hue iman pe rona aaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now