jaan-ba-lab tishna-dahan jate rahe
jāñ-ba-lab tishna-dahan jaate rahe
sāqiyān-e-bazm-e-jam aate rahe
ik ġham-e-dushman hī duniyā meñ na thā
aur bhī ġham the jo taḌpāte rahe
dard-e-dil baḌhtā gayā hai jis qadar
chārā-jūī dost farmāte rahe
zauq-e-āzādī meñ jo the jāñ-ba-lab
aise qaidī jaan se jaate rahe
jaan-ba-lab tishna-dahan jate rahe
saqiyan-e-bazm-e-jam aate rahe
ek gham-e-dushman hi duniya mein na tha
aur bhi gham the jo taDpate rahe
dard-e-dil baDhta gaya hai jis qadar
chaara-jui dost farmate rahe
zauq-e-azadi mein jo the jaan-ba-lab
aise qaidi jaan se jate rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.