jaan bhi ba-jaan hai hijr mein aur dil-figar bhi
jaañ bhī ba-jāñ hai hijr meñ aur dil-figār bhī
tar hai mizha bhī ashk se jeb bhī aur kanār bhī
turfa fusūñ-sarisht hai chashm-e-karishma-sanj-e-yār
letī hai ik nigāh meñ sabr bhī aur qarār bhī
kūche meñ us ke baiThnā husn ko us ke dekhnā
ham to isī ko samjhe haiñ baaġh bhī aur bahār bhī
dekhiye kyā ho be-tarah dil kī lage haiñ ghaat meñ
ġhamza-e-pur-fareb bhī ishva-e-sehr-kār bhī
zulf ko bhī hai dam-ba-dam azm-e-kamand-e-afganī
daam liye hai musta'id turra-e-tābdār bhī
baiThe butoñ kī bazm meñ jin kī hai qadr jab vo log
apne fareb-o-fan se vaañ thā ye ḳharāb-o-ḳhvār bhī
ginñe lage vo apne jab chāhne vāloñ ko 'nazīr'
uTh ke yakāyak us ghaḌī ham ne kahā haiñ yaar bhī
jaan bhi ba-jaan hai hijr mein aur dil-figar bhi
tar hai mizha bhi ashk se jeb bhi aur kanar bhi
turfa fusun-sarisht hai chashm-e-karishma-sanj-e-yar
leti hai ek nigah mein sabr bhi aur qarar bhi
kuche mein us ke baiThna husn ko us ke dekhna
hum to isi ko samjhe hain bagh bhi aur bahaar bhi
dekhiye kya ho be-tarah dil ki lage hain ghat mein
ghamza-e-pur-fareb bhi ishwa-e-sehr-kar bhi
zulf ko bhi hai dam-ba-dam azm-e-kamand-e-afgani
dam liye hai musta'id turra-e-tabdar bhi
baiThe buton ki bazm mein jin ki hai qadr jab wo log
apne fareb-o-fan se wan tha ye KHarab-o-KHwar bhi
ginne lage wo apne jab chahne walon ko 'nazir'
uTh ke yakayak us ghaDi hum ne kaha hain yar bhi
- Deewan-e-Nazeer Akbarabadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.