jaan chiz kya hai jaan se guzarte to dekhte
jaañ chiiz kyā hai jaañ se guzarte to dekhte
jī jaan se kisī pe jo marte to dekhte
jannat ko chhoḌnā to koī chiiz hī nahīñ
mamnūa meva koī katarte to dekhte
girne meñ Dūbne meñ ubharne meñ kyā hai lutf
dariyā meñ ek baar utarte to dekhte
sardī hai kyā jo dhuup meñ jalte to jānte
garmī hai kis kā naam ThiThurte to dekhte
jānoñ par apnī khel ga.e kis maze se log
ham tan kī itnī fikr na karte to dekhte
kahtī thī lomḌī hai kuleloñ meñ kyā maza
jangal kī ghaas sher jo charte to dekhte
'muztar' shaġhāl-nafs ḳhatarnāk thā bahut
ham itnī dekh-bhāl na karte to dekhte
jaan chiz kya hai jaan se guzarte to dekhte
ji jaan se kisi pe jo marte to dekhte
jannat ko chhoDna to koi chiz hi nahin
mamnua mewa koi katarte to dekhte
girne mein Dubne mein ubharne mein kya hai lutf
dariya mein ek bar utarte to dekhte
sardi hai kya jo dhup mein jalte to jaante
garmi hai kis ka nam ThiThurte to dekhte
jaanon par apni khel gae kis maze se log
hum tan ki itni fikr na karte to dekhte
kahti thi lomDi hai kulelon mein kya maza
jangal ki ghas sher jo charte to dekhte
'muztar' shaghaal-nafs KHatarnak tha bahut
hum itni dekh-bhaal na karte to dekhte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.