jaan de denge karishmon pe qaza se pahle
jaan de denge karishmon pe qaza se pahle
Azeezur Rahman Azeez Pani Pati
MORE BYAzeezur Rahman Azeez Pani Pati
jaan de deñge karishmoñ pe qazā se pahle
mar hī jā.eñge tire nāz-o-adā se pahle
riste haiñ zaḳhm-e-jigar qabl-e-namak-afshānī
meñh barastā hai mire ghar meñ ghaTā se pahle
bosa ḳhud dete haiñ aur ḳhud hī bigaḌ jaate haiñ
lutf farmāte haiñ āshiq pe jafā se pahle
ḳhud-ba-ḳhud aate haiñ vo paas ye tāsīroñ kā
jā lagā tiir nishāna pe duā se pahle
qasd-e-bosa hī pe dil phāñste haiñ gesū meñ
phāñsī dete haiñ vo mujrim ko ḳhatā se pahle
vo sanam aur ke hisse meñ na aatā ai 'azīz'
maañg letā jo use ro ke ḳhudā se pahle
jaan de denge karishmon pe qaza se pahle
mar hi jaenge tere naz-o-ada se pahle
riste hain zaKHm-e-jigar qabl-e-namak-afshani
meinh barasta hai mere ghar mein ghaTa se pahle
bosa KHud dete hain aur KHud hi bigaD jate hain
lutf farmate hain aashiq pe jafa se pahle
KHud-ba-KHud aate hain wo pas ye tasiron ka
ja laga tir nishana pe dua se pahle
qasd-e-bosa hi pe dil phanste hain gesu mein
phansi dete hain wo mujrim ko KHata se pahle
wo sanam aur ke hisse mein na aata ai 'aziz'
mang leta jo use ro ke KHuda se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.