jaan de kar bhi kuchh bhala na hua
jaan de kar bhī kuchh bhalā na huā
yuuñ bhī haq ziist kā adā na huā
farz thā āshiqī meñ mar jaanā
ham se tai ye bhī marhala na huā
ye bhī ā.īn-e-ishq thā ya.anī
un se maiñ tālib-e-vafā na huā
thā ziyāñ hī ziyāñ mohabbat meñ
husn-e-tamkīñ se fā.eda na huā
zindagī be-sabāt thī 'aslam'
haq mohabbat kā kuchh adā na huā
jaan de kar bhi kuchh bhala na hua
yun bhi haq zist ka ada na hua
farz tha aashiqi mein mar jaana
hum se tai ye bhi marhala na hua
ye bhi aain-e-ishq tha yani
un se main talib-e-wafa na hua
tha ziyan hi ziyan mohabbat mein
husn-e-tamkin se faeda na hua
zindagi be-sabaat thi 'aslam'
haq mohabbat ka kuchh ada na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.