jaan de sakta hai kya sath nibhane ke liye
jaan de saktā hai kyā saath nibhāne ke liye
hausla hai to baḌhā haath milāne ke liye
hañs rahā huuñ maiñ bahut mujh ko rulāne ke liye
aa havā mere charāġhoñ ko bujhāne ke liye
sham' gul kar ke havā dekh rahī hai mujh ko
āḳhirī tiilī hai māchis meñ jalāne ke liye
zaḳhm-e-dil is liye chehre pe sajā rakkhā hai
kuchh tamāsha to ho duniyā ko dikhāne ke liye
ik jhalak dekh leñ tujh ko to chale jā.eñge
kaun aaya hai yahāñ 'umr bitāne ke liye
maiñ ne dīvār pe kyā likh diyā ḳhud ko ik din
bārisheñ hone lagīñ mujh ko miTāne ke liye
film ke parde pe chhapnā koī āsān nahīñ
marnā paḌtā hai yahāñ naam kamāne ke liye
jaan de sakta hai kya sath nibhane ke liye
hausla hai to baDha hath milane ke liye
hans raha hun main bahut mujh ko rulane ke liye
aa hawa mere charaghon ko bujhane ke liye
sham' gul kar ke hawa dekh rahi hai mujh ko
aaKHiri tili hai machis mein jalane ke liye
zaKHm-e-dil is liye chehre pe saja rakkha hai
kuchh tamasha to ho duniya ko dikhane ke liye
ek jhalak dekh len tujh ko to chale jaenge
kaun aaya hai yahan 'umr bitane ke liye
main ne diwar pe kya likh diya KHud ko ek din
barishen hone lagin mujh ko miTane ke liye
film ke parde pe chhapna koi aasan nahin
marna paDta hai yahan nam kamane ke liye
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 66)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.