jaan-e-bahaaran kab aaoge
jān-e-bahārāñ kab aaoge
dard ke darmāñ kab aaoge
kab aaoge mere piyā tum
hāsil-e-armāñ kab aaoge
TuuT rahī haiñ merī umīdeñ
sāhib-e-paimāñ kab aaoge
chaukhaT suunī suunī sī hai
shām-e-charāġhāñ kab aaoge
merī chhat bhī raushan kar do
māh-e-daraḳhshāñ kab aaoge
āñkheñ rasta dekh rahī haiñ
mere nigahbāñ kab aaoge
kashtī merī Duub na jaa.e
nūh-e-ġharībāñ kab aaoge
suunī maañg yahī kahtī hai
le kar afshāñ kab aaoge
jaan-e-bahaaran kab aaoge
dard ke darman kab aaoge
kab aaoge mere piya tum
hasil-e-arman kab aaoge
TuT rahi hain meri umiden
sahib-e-paiman kab aaoge
chaukhaT suni suni si hai
sham-e-charaghan kab aaoge
meri chhat bhi raushan kar do
mah-e-daraKHshan kab aaoge
aankhen rasta dekh rahi hain
mere nigahban kab aaoge
kashti meri Dub na jae
nuh-e-ghariban kab aaoge
suni mang yahi kahti hai
le kar afshan kab aaoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.