jaan-e-gulshan jo hue wo gul-e-tar dekhe hain
jān-e-gulshan jo hue vo gul-e-tar dekhe haiñ
ham ne mausam ke hasīñ rang kidhar dekhe haiñ
tum se milte haiñ jo ham un kī tasallī ke liye
varna aise to bahut shām-o-sahar dekhe haiñ
ālam-e-be-sar-o-sāmāñ nahīñ guzrā tum par
tum ne kab aag meñ jalte hue ghar dekhe haiñ
hākim-e-vaqt diloñ par thī hukūmat un kī
ham ne aise bhī ka.ī ḳhāk-basar dekhe haiñ
apne hāthoñ hī miTā dete haiñ ḳhud apnā nishāñ
aise insān nahīñ dekhe magar dekhe haiñ
in galī-kūchoñ pe ye vaqt bhī aayā 'manzar'
shahr vāloñ ke badan ḳhuun meñ tar dekhe haiñ
jaan-e-gulshan jo hue wo gul-e-tar dekhe hain
hum ne mausam ke hasin rang kidhar dekhe hain
tum se milte hain jo hum un ki tasalli ke liye
warna aise to bahut sham-o-sahar dekhe hain
aalam-e-be-sar-o-saman nahin guzra tum par
tum ne kab aag mein jalte hue ghar dekhe hain
hakim-e-waqt dilon par thi hukumat un ki
hum ne aise bhi kai KHak-basar dekhe hain
apne hathon hi miTa dete hain KHud apna nishan
aise insan nahin dekhe magar dekhe hain
in gali-kuchon pe ye waqt bhi aaya 'manzar'
shahr walon ke badan KHun mein tar dekhe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.