jaan-e-jaan kahoge nan ashk ponchh loge nan eid par miloge nan
jaan-e-jaan kahoge nan ashk ponchh loge nan eid par miloge nan
Shahbaz Nayyar
MORE BYShahbaz Nayyar
jān-e-jāñ kahoge naañ ashk poñchh loge naañ eid par miloge naañ
in udaas āñkhoñ meñ ḳhvāb tum bharoge naañ eid par miloge naañ
vaqt kis tarah guzrā chāñd kis tarah utrā furqatoñ ke mausam meñ
in sabhī savāloñ ke tum javāb doge naañ eid par miloge naañ
fāsle jo aa.e haiñ kitne ġham uThā.e haiñ ġhair muskurā.e haiñ
haath thaam kar mere sab gile sunoge naañ eid par miloge naañ
dil meñ vahm paltā hai jaise ḳhvāb jaltā hai dil kahāñ sañbhaltā hai
jaañ yaqīñ dilāo tum mere hī rahoge naañ eid par miloge naañ
tanhā chāñd se mujh ko be-bahā mohabbat hai haañ milan kī hasrat hai
chāñd-rāt ko 'nayyar' chāñd tum banoge naañ eid par miloge naañ
jaan-e-jaan kahoge nan ashk ponchh loge nan eid par miloge nan
in udas aankhon mein KHwab tum bharoge nan eid par miloge nan
waqt kis tarah guzra chand kis tarah utra furqaton ke mausam mein
in sabhi sawalon ke tum jawab doge nan eid par miloge nan
fasle jo aae hain kitne gham uThae hain ghair muskurae hain
hath tham kar mere sab gile sunoge nan eid par miloge nan
dil mein wahm palta hai jaise KHwab jalta hai dil kahan sanbhalta hai
jaan yaqin dilao tum mere hi rahoge nan eid par miloge nan
tanha chand se mujh ko be-baha mohabbat hai han milan ki hasrat hai
chand-raat ko 'nayyar' chand tum banoge nan eid par miloge nan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.