Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaan-e-mahfil aaj-kal mujhko satati hai bahut

Amaan Pathan

jaan-e-mahfil aaj-kal mujhko satati hai bahut

Amaan Pathan

MORE BYAmaan Pathan

    jān-e-mahfil āj-kal mujh ko satātī hai bahut

    ek laḌkī ḳhvāb meñ aa kar jagātī hai bahut

    ek til jo gaal par hai mo'jiza hai koī

    ābshāroñ jaisī us zulf bhātī hai bahut

    haiñ ḳhutūt-e-jism meñ taare jaḌe jaise ka.ī

    vo hasīñ jān-e-jigar mujh ko lubhātī hai bahut

    vo agar hañs de to maiñ likh duuñ qasīde chāñd tak

    'ishq karne salīqa vo sikhātī hai bahut

    darmiyāñ haiñ fāsle ye jānte haiñ ham magar

    raat bhar phir bhī hameñ vo yaad aatī hai bahut

    jaan-e-mahfil aaj-kal mujh ko satati hai bahut

    ek laDki KHwab mein aa kar jagati hai bahut

    ek til jo gal par hai mo'jiza sa hai koi

    aabshaaron jaisi us ki zulf bhati hai bahut

    hain KHutut-e-jism mein tare jaDe jaise kai

    wo hasin jaan-e-jigar mujh ko lubhati hai bahut

    wo agar hans de to main likh dun qaside chand tak

    'ishq karne ka saliqa wo sikhati hai bahut

    darmiyan hain fasle ye jaante hain hum magar

    raat bhar phir bhi hamein wo yaad aati hai bahut

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now