jaan-e-man aap to bezar hue baiThe hain
jān-e-man aap to bezār hue baiThe haiñ
kyā masīhā mire bīmār hue baiThe haiñ
is adā par mirā dil kyā mirī jaañ bhī hāzir
aap yuuñ khiñch ke jo talvār hue baiThe haiñ
dushman-e-jāñ the to karte the ta.āqub lekin
jān-e-jāñ ho ke to be-kār hue baiThe haiñ
shaam kī chaa.e kā va.ada vo udhar bhuul ga.e
ham idhar sub.h se tayyār hue baiThe haiñ
hāsil-e-ishq hai kyā husn-e-nazar se aage
ḳhush-gumāñ tālib-e-dīdār hue baiThe haiñ
phir zamāne kā hai isrār chalo saath chalo
aur ham raah meñ dīvār hue baiThe haiñ
un kī nazroñ kā ishāra hai nizām-e-hastī
apnī qudrat kā jo shahkār hue baiThe haiñ
zindagī ḳhvāb magar ḳhvāb-e-haqīqat-nigarāñ
ham ye kis niiñd meñ bedār hue baiThe haiñ
dād-o-tahsīn kī parvā nahīñ ham ko 'pinhāñ'
ham ġhazal kah ke hī sarshār hue baiThe haiñ
jaan-e-man aap to bezar hue baiThe hain
kya masiha mere bimar hue baiThe hain
is ada par mera dil kya meri jaan bhi hazir
aap yun khinch ke jo talwar hue baiThe hain
dushman-e-jaan the to karte the taaqub lekin
jaan-e-jaan ho ke to be-kar hue baiThe hain
sham ki chae ka wada wo udhar bhul gae
hum idhar subh se tayyar hue baiThe hain
hasil-e-ishq hai kya husn-e-nazar se aage
KHush-guman talib-e-didar hue baiThe hain
phir zamane ka hai israr chalo sath chalo
aur hum rah mein diwar hue baiThe hain
un ki nazron ka ishaara hai nizam-e-hasti
apni qudrat ka jo shahkar hue baiThe hain
zindagi KHwab magar KHwab-e-haqiqat-nigaran
hum ye kis nind mein bedar hue baiThe hain
dad-o-tahsin ki parwa nahin hum ko 'pinhan'
hum ghazal kah ke hi sarshaar hue baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.