jaan gae to man liya
jaan ga.e to maan liyā
yuuñ tujh ko pahchān liyā
duniyā bhedoñ vaalī ne
kaisā parda taan liyā
dil vāloñ kī bastī se
tū ne kyā sāmān liyā
mushkil se hal hotā hai
qissa jo āsān liyā
kyā māneñ ham dil kī baat
dil bhī to nādān liyā
manzil phir bhī duur rahī
sahrāoñ ko chhān liyā
mīThe mīThe boloñ kā
dil ne kaisā daan liyā
jaan gae to man liya
yun tujh ko pahchan liya
duniya bhedon wali ne
kaisa parda tan liya
dil walon ki basti se
tu ne kya saman liya
mushkil se hal hota hai
qissa jo aasan liya
kya manen hum dil ki baat
dil bhi to nadan liya
manzil phir bhi dur rahi
sahraon ko chhan liya
miThe miThe bolon ka
dil ne kaisa dan liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.