jaan ho chuki farar tujhe der ho gai
jaañ ho chukī farār tujhe der ho ga.ī
aane meñ mere yaar tujhe der ho ga.ī
mayyat bhī uTh ga.ī mirī mātam bhī ho chukā
ai mere ġham-gusār tujhe der ho ga.ī
ġhairoñ se le lī maiñ ne mohabbat udhār par
ai mere qarz-dār tujhe der ho ga.ī
ahl-e-chaman ko raas ab aane lagī ḳhizāñ
haañ bād-e-nau-bahār tujhe der ho ga.ī
sar par hai āftāb magar niiñd meñ huuñ maiñ
ai sub.h kī pukār tujhe der ho ga.ī
afsos umr-bhar dar-e-tauba khulā rahā
lekin 'zuhaib' yaar tujhe der ho ga.ī
jaan ho chuki farar tujhe der ho gai
aane mein mere yar tujhe der ho gai
mayyat bhi uTh gai meri matam bhi ho chuka
ai mere gham-gusar tujhe der ho gai
ghairon se le li main ne mohabbat udhaar par
ai mere qarz-dar tujhe der ho gai
ahl-e-chaman ko ras ab aane lagi KHizan
han baad-e-nau-bahaar tujhe der ho gai
sar par hai aaftab magar nind mein hun main
ai subh ki pukar tujhe der ho gai
afsos umr-bhar dar-e-tauba khula raha
lekin 'zuhaib' yar tujhe der ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.