jaan ek zarbat-e-shamshir-e-do-dam aur sahi
jaan ik zarbat-e-shamshīr-e-do-dam aur sahī
tan-e-sad-chāk pe duniyā ke sitam aur sahī
tāqat-e-jumbish-e-yak-gām nahīñ hai lekin
tere kūche kī taraf ek qadam aur sahī
haiñ mire dil ko bahut dard mayassar phir bhī
aap kī yaad kā ik dast-e-karam aur sahī
saañs baaqī hai so chaltā hī chalā jā.ūñgā
jū-e-ġham aur sahī zor-e-sitam aur sahī
phir huī jaatī hai paidā havas-e-sajda-e-shauq
dil ke mandir meñ koī taaza sanam aur sahī
koī naqqād na Thahrā mire aage 'kāzim'
mudda'ā yuuñ hai ki ik shaiḳh-e-haram aur sahī
jaan ek zarbat-e-shamshir-e-do-dam aur sahi
tan-e-sad-chaak pe duniya ke sitam aur sahi
taqat-e-jumbish-e-yak-gam nahin hai lekin
tere kuche ki taraf ek qadam aur sahi
hain mere dil ko bahut dard mayassar phir bhi
aap ki yaad ka ek dast-e-karam aur sahi
sans baqi hai so chalta hi chala jaunga
ju-e-gham aur sahi zor-e-sitam aur sahi
phir hui jati hai paida hawas-e-sajda-e-shauq
dil ke mandir mein koi taza sanam aur sahi
koi naqqad na Thahra mere aage 'kazim'
mudda'a yun hai ki ek shaiKH-e-haram aur sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.