jaan is dil ki bachane ke liye
jaan is dil kī bachāne ke liye
yaad aa bas yaad aane ke liye
bojh din kā putliyoñ meñ rah gayā
tanz rātoñ ke uThāne ke liye
dekhtā hai jis nazar se ye mujhe
maiñ vahī huuñ is zamāne ke liye
sab yahī rah jā.egā vaqt-e-ajal
kuchh nahīñ khonā hai paane ke liye
falsafa ho zindagī kā bas yahī
ġham kamāo to uḌāne ke liye
jaan is dil ki bachane ke liye
yaad aa bas yaad aane ke liye
bojh din ka putliyon mein rah gaya
tanz raaton ke uThane ke liye
dekhta hai jis nazar se ye mujhe
main wahi hun is zamane ke liye
sab yahi rah jaega waqt-e-ajal
kuchh nahin khona hai pane ke liye
falsafa ho zindagi ka bas yahi
gham kamao to uDane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.