jaan jaanan pe war di humne
jaan jānāñ pe vaar dī ham ne
jaan kar jaan haar dī ham ne
raat phir mai-kade meñ zāhid ko
pārsā.ī udhār dī ham ne
sang pheñko to taak kar pheñko
sar se chādar utaar dī ham ne
ab palaT aao bhī to kyā hāsil
shab-e-hijrāñ guzār dī ham ne
ro ke us ko manā liyā 'tal.at'
hañs ke bigḌī sañvār dī ham ne
jaan jaanan pe war di hum ne
jaan kar jaan haar di hum ne
raat phir mai-kade mein zahid ko
parsai udhaar di hum ne
sang phenko to tak kar phenko
sar se chadar utar di hum ne
ab palaT aao bhi to kya hasil
shab-e-hijran guzar di hum ne
ro ke us ko mana liya 'talat'
hans ke bigDi sanwar di hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.