jaan jati nahin aur jaan se guzar jate hain
jaan jaatī nahīñ aur jaañ se guzar jaate haiñ
ham judā.ī ke bhī ehsās se mar jaate haiñ
jin ko tārīkī meñ rātoñ kī munavvar dekhā
sub.h hotī hai to phir jaane kidhar jaate haiñ
jab bhī ḳhuddārī kī dīvār ko Dhānā chāheñ
apne andar kī sadā sun ke Thahar jaate haiñ
rāste us ne yuuñ taqsīm kiye the 'amabar'
ab udhar jaanā hai tum ko ham idhar jaate haiñ
jaan jati nahin aur jaan se guzar jate hain
hum judai ke bhi ehsas se mar jate hain
jin ko tariki mein raaton ki munawwar dekha
subh hoti hai to phir jaane kidhar jate hain
jab bhi KHuddari ki diwar ko Dhana chahen
apne andar ki sada sun ke Thahar jate hain
raste us ne yun taqsim kiye the 'amabar'
ab udhar jaana hai tum ko hum idhar jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.