jaan jab tak fida nahin hoti
jaan jab tak fidā nahīñ hotī
puurī rasm-e-vafā nahīñ hotī
shīsha TuuTe to hotī hai āvāz
dil jo TuuTe sadā nahīñ hotī
banda-parvar hijāb lāzim hai
har nazar pārsā nahīñ hotī
bevafā se na rakh vafā kī aas
bevafā se vafā nahīñ hotī
jab se us but pe aa gayā hai dil
ham se yād-e-ḳhudā nahīñ hotī
āshiqī kī namāz ai zāhid
āshiqoñ se qazā nahīñ hotī
aap nazdīk jab nahīñ hote
duur ġham kī balā nahīñ hotī
ho na jab tak ḳhulūs dil ke saath
iltijā iltijā nahīñ hotī
kuchh bhī hotā nahīñ kabhī 'purnam'
jab tak us kī razā nahīñ hotī
jaan jab tak fida nahin hoti
puri rasm-e-wafa nahin hoti
shisha TuTe to hoti hai aawaz
dil jo TuTe sada nahin hoti
banda-parwar hijab lazim hai
har nazar parsa nahin hoti
bewafa se na rakh wafa ki aas
bewafa se wafa nahin hoti
jab se us but pe aa gaya hai dil
hum se yaad-e-KHuda nahin hoti
aashiqi ki namaz ai zahid
aashiqon se qaza nahin hoti
aap nazdik jab nahin hote
dur gham ki bala nahin hoti
ho na jab tak KHulus dil ke sath
iltija iltija nahin hoti
kuchh bhi hota nahin kabhi 'purnam'
jab tak us ki raza nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.