jaan-kani ka pasina hai aur lamha lamha Tapakta hua waqt hai
jāñ-kanī kā pasīna hai aur lamha lamha Tapaktā huā vaqt hai
maut hai sach kī hurmat kā pahlā suḳhan dūsrā vaqt hai
zuhl ke kāsa-e-nahs meñ shahr-e-zulmāt ḳhāmosh hai
ek andhā magar chīḳhtā hai ki logo burā vaqt hai
apne mushkī ko mahmez de kar zarā ik nazar dekh luuñ
kitne nuurī baras kī masāfat pe Thahrā huā vaqt hai
ibn-e-ādam kā virsa hai paiġhambarī vaqt aur imtihāñ
hausle kā 'asā ab na TuuTe ki aage kaḌā vaqt hai
ḳhuuñ meñ tar lashkarī zindagī kī fasīloñ pe sote haiñ kyoñ
raat din mil rahe haiñ yahāñ is ghaḌī jhuTpuTā vaqt hai
ham jo zinda the masrūf the har nafas kār-e-bekār meñ
aur ab mar chuke haiñ to lagtā hai jaise baḌā vaqt hai
koh-e-āvārgī tere dāman meñ kab se huuñ maiñ ḳhema-zan
raat Dhaltī nahīñ din guzartā nahīñ jaane kyā vaqt hai
ek muddat huī pyaar ke shahr meñ us se bichhḌe hue
do ghaḌī ke liye gar mile vo kahīñ pūchhnā vaqt hai
jaan-kani ka pasina hai aur lamha lamha Tapakta hua waqt hai
maut hai sach ki hurmat ka pahla suKHan dusra waqt hai
zuhl ke kasa-e-nahs mein shahr-e-zulmat KHamosh hai
ek andha magar chiKHta hai ki logo bura waqt hai
apne mushki ko mahmez de kar zara ek nazar dekh lun
kitne nuri baras ki masafat pe Thahra hua waqt hai
ibn-e-adam ka wirsa hai paighambari waqt aur imtihan
hausle ka 'asa ab na TuTe ki aage kaDa waqt hai
KHun mein tar lashkari zindagi ki fasilon pe sote hain kyon
raat din mil rahe hain yahan is ghaDi jhuTpuTa waqt hai
hum jo zinda the masruf the har nafas kar-e-bekar mein
aur ab mar chuke hain to lagta hai jaise baDa waqt hai
koh-e-awargi tere daman mein kab se hun main KHema-zan
raat Dhalti nahin din guzarta nahin jaane kya waqt hai
ek muddat hui pyar ke shahr mein us se bichhDe hue
do ghaDi ke liye gar mile wo kahin puchhna waqt hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.