jaan kar humne jaan-e-wafa aapko
jaan kar ham ne jān-e-vafā aap ko
ik nazar hī meñ dil de diyā aap ko
aaj yuuñ dil ne dī hai sadā aap ko
jaise apnā banā hī liyā aap ko
dekh kar aa.ina aap sharmā ga.e
dekhtā rah gayā aa.ina aap ko
aap aur mai-kada vā.iz-e-mohtaram
ham samajhte rahe pārsā aap ko
jāñ-ba-lab thā magar jī uThā dekh kar
ab masīhā kahūñ yā ḳhudā aap ko
chiir kar siina kaise dikhā.ūñ bhalā
dil kā shīrāza bikhrā huā aap ko
kaun kartā bhalā aap kā sāmnā
kis meñ jur.at thī jo dekhtā aap ko
is qadar sho.alagī 'dard' ash.ār meñ
log kahte haiñ ātish-navā aap ko
jaan kar hum ne jaan-e-wafa aap ko
ek nazar hi mein dil de diya aap ko
aaj yun dil ne di hai sada aap ko
jaise apna bana hi liya aap ko
dekh kar aaina aap sharma gae
dekhta rah gaya aaina aap ko
aap aur mai-kada waiz-e-mohtaram
hum samajhte rahe parsa aap ko
jaan-ba-lab tha magar ji uTha dekh kar
ab masiha kahun ya KHuda aap ko
chir kar sina kaise dikhaun bhala
dil ka shiraaza bikhra hua aap ko
kaun karta bhala aap ka samna
kis mein jurat thi jo dekhta aap ko
is qadar shoalagi 'dard' ashaar mein
log kahte hain aatish-nawa aap ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.