jaan ke ziyan ko gham ki talafi samajh liya
jaañ ke ziyāñ ko ġham kī talāfī samajh liyā
kam-hausloñ ne maut ko shāfī samajh liyā
jo guftugū meñ sab se zarūrī thā vo suḳhan
un kī samā.atoñ ne izāfī samajh liyā
ik shart-e-justujū bhī thī manzil ke vāste
ham ne bas aarzū ko hī kaafī samajh liyā
ḳhuddārī-e-junūñ meñ in āñkhoñ ne tere ba.ad
ashkoñ ko bhī vafā ke munāfī samajh liyā
'jāzib' na jaane kaun sī duniyā kā shaḳhs thā
jis ne sazāoñ ko bhī muāfī samajh liyā
jaan ke ziyan ko gham ki talafi samajh liya
kam-hauslon ne maut ko shafi samajh liya
jo guftugu mein sab se zaruri tha wo suKHan
un ki samaaton ne izafi samajh liya
ek shart-e-justuju bhi thi manzil ke waste
hum ne bas aarzu ko hi kafi samajh liya
KHuddari-e-junun mein in aankhon ne tere baad
ashkon ko bhi wafa ke munafi samajh liya
'jazib' na jaane kaun si duniya ka shaKHs tha
jis ne sazaon ko bhi muafi samajh liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.