jaan kuchh der ki mehman hai bimar ke pas
jaañ kuchh der kī mehmān hai bīmār ke paas
ab to aa jā.iye girtī huī dīvār ke paas
dil to ham pahlī mulāqāt meñ de baiThe the
jaan baaqī thī so le aa.e haiñ sarkār ke paas
aaj phir ishq tamannā.ī hai qurbānī kā
kaun mansūr hai aa.e to zarā daar ke paas
nūr-e-rahmat tirī qismat meñ kahāñ ai zāhid
tujh ko ye nuur milegā to gunahgār ke paas
ik na.ī ruuh machal uTThī mirī rag rag meñ
aap kyā aa.e ki jaan aa ga.ī bīmār ke paas
go dar-e-yār se maiñ duur sahī ai 'nayyar'
dil magar rahtā hai har vaqt dar-e-yār ke paas
jaan kuchh der ki mehman hai bimar ke pas
ab to aa jaiye girti hui diwar ke pas
dil to hum pahli mulaqat mein de baiThe the
jaan baqi thi so le aae hain sarkar ke pas
aaj phir ishq tamannai hai qurbani ka
kaun mansur hai aae to zara dar ke pas
nur-e-rahmat teri qismat mein kahan ai zahid
tujh ko ye nur milega to gunahgar ke pas
ek nai ruh machal uTThi meri rag rag mein
aap kya aae ki jaan aa gai bimar ke pas
go dar-e-yar se main dur sahi ai 'nayyar'
dil magar rahta hai har waqt dar-e-yar ke pas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.