jaan le gar tu jaan leta hai
jaan le gar tū jaan letā hai
kyoñ mirā imtihān letā hai
kyā batā.ūñ maiñ apnā hāl-e-dil
jāntā huuñ tū jaan letā hai
zaḳhm Dhalte nahīñ haiñ lafzoñ meñ
kyoñ mirā tū bayān letā hai
dekh hamdardiyoñ kā marham rakh
surḳh āñkheñ kyoñ taan letā hai
dil ko sahlā bhī thapkiyāñ bhī de
dil to bachcha hai maan letā hai
āsmāñ ko zamīñ samajhtā hai
jab parinda uḌaan letā hai
dekh kar vaar karnā pahlū se
dekhnā phir se jaan letā hai
kyā jalā.egī aag us ko jo
roz dars-e-qur.ān letā hai
'shāh' phūloñ sā dil tū rakhtā hai
aur ḳhushbū pe jaan detā hai
jaan le gar tu jaan leta hai
kyon mera imtihan leta hai
kya bataun main apna haal-e-dil
jaanta hun tu jaan leta hai
zaKHm Dhalte nahin hain lafzon mein
kyon mera tu bayan leta hai
dekh hamdardiyon ka marham rakh
surKH aankhen kyon tan leta hai
dil ko sahla bhi thapkiyan bhi de
dil to bachcha hai man leta hai
aasman ko zamin samajhta hai
jab parinda uDan leta hai
dekh kar war karna pahlu se
dekhna phir se jaan leta hai
kya jalaegi aag us ko jo
roz dars-e-quran leta hai
'shah' phulon sa dil tu rakhta hai
aur KHushbu pe jaan deta hai
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.