jaan-lewa hai pyar ka saya
jān-levā hai pyaar kā saaya
aap ke intizār kā saaya
aur detā hai mere ġham ko havā
ham-nashīñ ġham-gusār kā saaya
ho rahī hai jo aaj dil meñ chubhan
paḌ gayā hogā ḳhaar kā saaya
janm detā hai nuur vāloñ ko
tīrgī ke hisār kā saaya
dard bhar de diloñ meñ logoñ ke
hai sitamgar kahār kā saaya
duur kar de qarīb vāloñ ko
bartarī ke ḳhumār kā saaya
ruḳh badal de ḳhizāñ ke mausam kā
chhā.e jab bhī bahār kā saaya
naam raushan kare zamāne meñ
ilm-o-fan ke nikhār kā saaya
shaḳhsiyat ko zalīl kartā hai
jhūTe fan ke ġhubār kā saaya
nuur laa.e adab kī duniyā meñ
ban ke sūraj 'vaqār' kā saaya
jaan-lewa hai pyar ka saya
aap ke intizar ka saya
aur deta hai mere gham ko hawa
ham-nashin gham-gusar ka saya
ho rahi hai jo aaj dil mein chubhan
paD gaya hoga KHar ka saya
janm deta hai nur walon ko
tirgi ke hisar ka saya
dard bhar de dilon mein logon ke
hai sitamgar kahaar ka saya
dur kar de qarib walon ko
bartari ke KHumar ka saya
ruKH badal de KHizan ke mausam ka
chhae jab bhi bahaar ka saya
nam raushan kare zamane mein
ilm-o-fan ke nikhaar ka saya
shaKHsiyat ko zalil karta hai
jhuTe fan ke ghubar ka saya
nur lae adab ki duniya mein
ban ke suraj 'waqar' ka saya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.