jaan-lewa jab uski furqat thi
jān-levā jab us kī furqat thī
tark-e-ulfat kī kyā zarūrat thī
sab divāna samajhte the mujh ko
is qadar aap se mohabbat thī
jis ko dekhā hai vo fasāna hai
jo zabāñ par thī vo haqīqat thī
jal rahe haiñ janāb barzaḳh meñ
piir sāhib se un kī nisbat thī
mujh ko insān lag rahā thā vo
jab talak yaar us meñ ġhairat thī
chand sāñseñ nahīñ ḳharīd sakā
be-shumār us ke paas daulat thī
us ko apnā sake na ham 'ātif'
jis kī dil pe hamāre qudrat thī
jaan-lewa jab us ki furqat thi
tark-e-ulfat ki kya zarurat thi
sab diwana samajhte the mujh ko
is qadar aap se mohabbat thi
jis ko dekha hai wo fasana hai
jo zaban par thi wo haqiqat thi
jal rahe hain janab barzaKH mein
pir sahib se un ki nisbat thi
mujh ko insan lag raha tha wo
jab talak yar us mein ghairat thi
chand sansen nahin KHarid saka
be-shumar us ke pas daulat thi
us ko apna sake na hum 'atif'
jis ki dil pe hamare qudrat thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.