jaan nazr-e-shabab ho ke rahi
jaan nazr-e-shabāb ho ke rahī
zindagī kāmyāb ho ke rahī
merī jānib jo uTh ga.ī thī kabhī
vo nazar lā-javāb ho ke rahī
ishq meñ rāh-e-rāst bhī aksar
rāh-e-pur-pech-o-tāb ho ke rahī
ba.ad tauba ke aur bhī saaqī
merī hālat ḳharāb ho ke rahī
un kī mahfil meñ be-kasī merī
bā.is-e-inqalāb ho ke rahī
fasl-e-gul meñ maze uḌā.eñge
ye tamannā bhī ḳhvāb ho ke rahī
dahr meñ ai 'azīz' apnī vafā
aap apnā javāb ho ke rahī
jaan nazr-e-shabab ho ke rahi
zindagi kaamyab ho ke rahi
meri jaanib jo uTh gai thi kabhi
wo nazar la-jawab ho ke rahi
ishq mein rah-e-rast bhi aksar
rah-e-pur-pech-o-tab ho ke rahi
baad tauba ke aur bhi saqi
meri haalat KHarab ho ke rahi
un ki mahfil mein be-kasi meri
bais-e-inqalab ho ke rahi
fasl-e-gul mein maze uDaenge
ye tamanna bhi KHwab ho ke rahi
dahr mein ai 'aziz' apni wafa
aap apna jawab ho ke rahi
- Book : Mehraab (Pg. 113)
- Author : Aziiz vaarsii
- Publication : Maktaba Nida-e-ittiihaad (1976)
- Edition : 1976
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.