jaan niklegi meri jaan baDi mushkil se
jaan niklegī mirī jaan baḌī mushkil se
hogī mushkil mirī āsān baḌī mushkil se
vo mire ghar rahe mehmān baḌī mushkil se
raat nikle mire armān baḌī mushkil se
āñkheñ talvoñ se malīñ le ke qadam āñkhoñ par
raah par aa.e nigahbān baḌī mushkil se
thā bahut un ko gilaurī kā uThānā mushkil
dast-e-nāzuk se diyā paan baḌī mushkil se
baḌh ke darbāñ ne liyā aaj bhī dāman merā
kal chhuḌāyā thā garebān baḌī mushkil se
sohbat-e-bad se bachāne kā batāyā sab haal
aaj maane mire ehsān baḌī mushkil se
zulm ko lutf se ta.abīr kareñge dam-e-hashr
jaur se hoñge pashemān baḌī mushkil se
koī kāfir ho jo kal jaa.e sū-e-dair-e-butāñ
ki bachā aaj hī īmān baḌī mushkil se
na rahe maiñ ne kaleje meñ jo rakhnā chāhā
dil meñ Thahre tire paikān baḌī mushkil se
duur abhī manzil-e-maqsūd hai kaale kosoñ
kuchh hue qat.a bayābān baḌī mushkil se
maan lete haiñ vo mushkil se bhī mushkil koī baat
kabhī āsāñ se bhī āsān baḌī mushkil se
mai bahut ruk ke mire halq se utre dam-e-naz.a
abhī mushkil huī āsān baḌī mushkil se
be-shab-e-vasl ye andāz nikalte hī nahīñ
zulf hotī hai pareshān baḌī mushkil se
dhaar talvār kī thī jāda-e-bārīk na thā
hai huā hashr kā maidān baḌī mushkil se
rahte haiñ aise hī insān farishte ban kar
aadmī bante haiñ insān baḌī mushkil se
dil-e-bismil meñ kuchh is tarah hue the paivast
TuuT kar nikle haiñ paikān baḌī mushkil se
yahī andāz yahī vaz.a jo rakkhoge 'riyāz'
log samjheñge musalmān baḌī mushkil se
jaan niklegi meri jaan baDi mushkil se
hogi mushkil meri aasan baDi mushkil se
wo mere ghar rahe mehman baDi mushkil se
raat nikle mere arman baDi mushkil se
aankhen talwon se malin le ke qadam aankhon par
rah par aae nigahban baDi mushkil se
tha bahut un ko gilauri ka uThana mushkil
dast-e-nazuk se diya pan baDi mushkil se
baDh ke darban ne liya aaj bhi daman mera
kal chhuDaya tha gareban baDi mushkil se
sohbat-e-bad se bachane ka bataya sab haal
aaj mane mere ehsan baDi mushkil se
zulm ko lutf se tabir karenge dam-e-hashr
jaur se honge pasheman baDi mushkil se
koi kafir ho jo kal jae su-e-dair-e-butan
ki bacha aaj hi iman baDi mushkil se
na rahe main ne kaleje mein jo rakhna chaha
dil mein Thahre tere paikan baDi mushkil se
dur abhi manzil-e-maqsud hai kale koson
kuchh hue qata bayaban baDi mushkil se
man lete hain wo mushkil se bhi mushkil koi baat
kabhi aasan se bhi aasan baDi mushkil se
mai bahut ruk ke mere halq se utre dam-e-naza
abhi mushkil hui aasan baDi mushkil se
be-shab-e-wasl ye andaz nikalte hi nahin
zulf hoti hai pareshan baDi mushkil se
dhaar talwar ki thi jada-e-barik na tha
hai hua hashr ka maidan baDi mushkil se
rahte hain aise hi insan farishte ban kar
aadmi bante hain insan baDi mushkil se
dil-e-bismil mein kuchh is tarah hue the paiwast
TuT kar nikle hain paikan baDi mushkil se
yahi andaz yahi waza jo rakkhoge 'riyaz'
log samjhenge musalman baDi mushkil se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.