jaan-o-dil sunsan hain ujDe qabilon ki tarah
jān-o-dil sunsān haiñ ujḌe qabīloñ kī tarah
ḳhvāhisheñ ḳhāmosh haiñ bebas fasīloñ kī tarah
yuuñ kiyā bas saañs lene bhar kī fursat dī hameñ
us ne kī ham par masīhā.ī baḳhīloñ kī tarah
jis tarah chāhā hameñ upyog meñ laayā gayā
ham rahe dīvār meñ paivast kīloñ kī tarah
umr bhar karte rahe ham āsmānoñ kā safar
manzileñ chipkī rahīñ qadmoñ se mīloñ kī tarah
ik zarā sī gandh kyā paa.ī ki manDrāne lagīñ
kuchh tamannā.eñ haiñ murda-ḳhor chīloñ kī tarah
vo zamāna aur thā har baat par kahte the jī
ab jirah karne lage bachche vakīloñ kī tarah
jaan-o-dil sunsan hain ujDe qabilon ki tarah
KHwahishen KHamosh hain bebas fasilon ki tarah
yun kiya bas sans lene bhar ki fursat di hamein
us ne ki hum par masihai baKHilon ki tarah
jis tarah chaha hamein upyog mein laya gaya
hum rahe diwar mein paiwast kilon ki tarah
umr bhar karte rahe hum aasmanon ka safar
manzilen chipki rahin qadmon se milon ki tarah
ek zara si gandh kya pai ki manDrane lagin
kuchh tamannaen hain murda-KHor chilon ki tarah
wo zamana aur tha har baat par kahte the ji
ab jirah karne lage bachche wakilon ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.